Chapters (107)
- Cover
- Dedication
- Foreword
- Introduction
- POEMS
- Shaukat ke Naam
- To Shaukat*
- Pashemani
- Regret
- Sarojini Naidu
- Sarojini Naidu
- Behroopni
- She of the Many Faces
- Andeshe
- Anxious Thoughts
- Aurat
- Woman
- Bewa ki Khudkushi
- A Widow’s Suicide
- Doshiza Malan
- The Virginal Flower Girl
- Ek Dua
- A Prayer
- Ek Bosa
- A Kiss
- Ek Lamha!
- A Moment!
- Ehtiyat
- Caution
- Naya Husn
- New Beauty
- Nazrana
- Tribute
- Pyar ka Jashn
- A Celebration of Love
- Tasawur
- Imagination
- Tum
- You
- Ajnabi
- Stranger
- Pehla Salaam
- The First Greeting
- Aaina
- Mirror
- Akhfa-i Muhabbat
- Concealing Love
- Roosi Aurat ka Naara
- The Call of the Russian Woman
- Hausla
- Courage
- Garbhwati
- The Pregnant Woman
- Peetal ke Kangan
- Brass Bangles
- FILM LYRICS
- Waqt Ne Kiya Kya Haseen Sitam*
- What a Beautiful Cruelty Time Has Inflicted
- Zara Sii Aahat Hotii Hai*
- At the Faintest Footfall . . .
- Yeh Nayan Darey Darey*
- These Fear-filled Eyes
- Merey Chanda, Mere Nanhe*
- My Darling, My Little One
- Kuchh Dil Ne Kaha*
- The Heart Says Something
- Dheerey-dheerey Machal Ai Dil-e Be-qaraar*
- Quieten, Quieten, O Restless Heart
- Abhi Kya Sunogey Suna To Hasogey*
- What Will You Hear Now, You Will Laugh If You Do
- Maa Hai Mohabbat ka Naam*
- A Mother Is a Name for Love
- Aaj Socha To Aansu Bhar Aaye*
- Tears Well Up When I Think of It
- Betaab Dil Ki Tamanna Yehi Hai*
- The Sole Desire of My Restless Heart
- Hai Tere Saath Meri Wafa*
- My Fidelity Will Stay with You
- Har Taraf Ab Yahii Afsaney Hain*
- All Around Me I Hear It Said
- Koi Yeh Kaise Bataye Ke Woh Tanha Kyun Hai*
- How Does One Explain . . .
- Jhuki Jhuki Si Nazar . . .*
- This Lowered Gaze
- Tum Itna Jo Muskura Rahey Ho . . .*
- You Are Smiling So Much
- Afterword
- Footnotes
- To Shaukat
- The Virginal Flower Girl
- Waqt Ne Kiya Kya Haseen Sitam
- Zara Sii Aahat Hotii Hai
- Yeh Nayan Darey Darey
- Merey Chanda, Mere Nanhe
- Kuchh Dil Ne Kaha
- Dheerey-dheerey Machal Ai Dil-e Be-qaraar
- Abhi Kya Sunogey Suna To Hasogey
- Maa Hai Mohabbat ka Naam
- Aaj Socha To Aansu Bhar Aaye
- Betaab Dil Ki Tamanna Yehi Hai
- Hai Tere Saath Meri Wafa
- Har Taraf Ab Yahii Afsaney Hain
- Koi Yeh Kaise Bataye Ke Woh Tanha Kyun Hai
- Jhuki Jhuki Si Nazar . . .
- Tum Itna Jo Muskura Rahey Ho . . .
- Select Bibliography
- THE BEGINNING
Break the necklace studded with precious stones if it has become a yoke
Break the goblet offered to you by men of wisdom and sagacity
Like a storm you must spill over and seethe
Arise, my dearest! You have to walk beside me
If you are Plato and Aristotle, you are also bright as the Pleiades
Heaven is in your control and earth lies beneath your feet
Raise your forehead, yes, raise it quickly, from the feet of destiny
I am not going to wait for you, neither will Time
How long will you stumble, you must take care
Arise, my dearest! You have to walk beside me
Bewa ki Khudkushi
Ye andheri raat ye saari fazaa soi hui
Patti patti manzar-e-ḳhaamosh mein khoi hui
Maujzan hai bahr-e-zulmat tiirgi ka josh hai
Shaam hii se aaj qindiil-e-falak ḳhaamosh hai
Chand taare hain bhi to be-nur pathraae hue
Jaise baasi haar mein hon phuul kumhlaae hue
Khap gayaa hai yuun ghataa mein chaandni ka saaf rang
Jis tarah maayusiyon mein dab ke rah jaae umang
Umdii hai kaali ghataa duniya duboney ke liye
Yaa chali hai baal khole raand roney ke liye
Jitni hai gunjaan basti utni hii viiraan hai
Har gali ḳhaamosh hai har raasta sunsaan hai
Ik makan se bhi makiin ki kuchh ḳhabar miltii nahiin
Chilmanein utthtii nahiin zanjiir-e-dar hiltii nahiin
So rahey hain mast-o-beḳhud ghar ke kul piir-o-javaan
Ho gaii hain band husn-o-ishq mein sargoshiyaan
Haan magar ik samt ik goshe mein koii nauhagar
Le rahii hai karvaton par karvatein dil thaam kar
Dil sambhaltaa hii nahin hai siina-e-sad-chaak mein
Phuul saa chehra ataa hai bevgii kii ḳhaak mein
Ud chalii hai rang-e-ruḳh ban kar hayaat-e-musta.aar
Ho rahaa hai qalb-e-murda mein jawani ka fishaar
Hasratein dam todtii hain yaas kii aaġhosh mein
Saikdon shikve machalte hain lab-e-ḳhaamosh mein
Umr aamaada nahiin murda-parastii ke liye
Baar hai ye zinda mayyat dosh-e-hasti ke liye
Chaahti hai laakh qaabu dil pe paatii hii nahiin
Hai-re zaalim jawani bas mein aatii hii nahiin
Thartharaa kar girti hai jab suune bistar par nazar
Le ke ik karvat patak deti hai woh takiye pe sir
Jab khanak utthti hain sotii ladkiyon kii chudiyaan
Aah ban kar utthne lagtaa hai kaleje se dhuaan
Ho gai bewa ki ḳhaatir niind bhi jaise haraam
Muḳhtasar saa ahd-e-vaslat de gayaa soz-e-davaam
Dopahar ki chhaanv daur-e-shaadmaanii ho gayaa
Pyaas bhi bujhne na paai ḳhatm paani ho gayaa
Le rahi hai karvaton par karvatein baa-iztiraar
Aag mein paara hai yaa bistar pe jism-e-be-qaraar
Pad gaii ik aah kar ke ro ke utth baithii kabhi
Ungliyon mein le ke zulf-e-ḳham-ba-ḳham ainthi kabhi
Aa ke honthon par kabhii maayus aahein tham gaiin
Aur kabhi suuni kalaai par nigaahein jam gaiin
Itnii duniya mein kahiin apni jagah paati nahin
Yaas iss had kii ki shauhar kii bhii yaad aatii nahin
Aa rahey hain yaad paiham saas nandon ke suluk
Phat rahaa hai ġham se siina utth rahii hai dil mein huuk