Chapters (107)
- Cover
- Dedication
- Foreword
- Introduction
- POEMS
- Shaukat ke Naam
- To Shaukat*
- Pashemani
- Regret
- Sarojini Naidu
- Sarojini Naidu
- Behroopni
- She of the Many Faces
- Andeshe
- Anxious Thoughts
- Aurat
- Woman
- Bewa ki Khudkushi
- A Widow’s Suicide
- Doshiza Malan
- The Virginal Flower Girl
- Ek Dua
- A Prayer
- Ek Bosa
- A Kiss
- Ek Lamha!
- A Moment!
- Ehtiyat
- Caution
- Naya Husn
- New Beauty
- Nazrana
- Tribute
- Pyar ka Jashn
- A Celebration of Love
- Tasawur
- Imagination
- Tum
- You
- Ajnabi
- Stranger
- Pehla Salaam
- The First Greeting
- Aaina
- Mirror
- Akhfa-i Muhabbat
- Concealing Love
- Roosi Aurat ka Naara
- The Call of the Russian Woman
- Hausla
- Courage
- Garbhwati
- The Pregnant Woman
- Peetal ke Kangan
- Brass Bangles
- FILM LYRICS
- Waqt Ne Kiya Kya Haseen Sitam*
- What a Beautiful Cruelty Time Has Inflicted
- Zara Sii Aahat Hotii Hai*
- At the Faintest Footfall . . .
- Yeh Nayan Darey Darey*
- These Fear-filled Eyes
- Merey Chanda, Mere Nanhe*
- My Darling, My Little One
- Kuchh Dil Ne Kaha*
- The Heart Says Something
- Dheerey-dheerey Machal Ai Dil-e Be-qaraar*
- Quieten, Quieten, O Restless Heart
- Abhi Kya Sunogey Suna To Hasogey*
- What Will You Hear Now, You Will Laugh If You Do
- Maa Hai Mohabbat ka Naam*
- A Mother Is a Name for Love
- Aaj Socha To Aansu Bhar Aaye*
- Tears Well Up When I Think of It
- Betaab Dil Ki Tamanna Yehi Hai*
- The Sole Desire of My Restless Heart
- Hai Tere Saath Meri Wafa*
- My Fidelity Will Stay with You
- Har Taraf Ab Yahii Afsaney Hain*
- All Around Me I Hear It Said
- Koi Yeh Kaise Bataye Ke Woh Tanha Kyun Hai*
- How Does One Explain . . .
- Jhuki Jhuki Si Nazar . . .*
- This Lowered Gaze
- Tum Itna Jo Muskura Rahey Ho . . .*
- You Are Smiling So Much
- Afterword
- Footnotes
- To Shaukat
- The Virginal Flower Girl
- Waqt Ne Kiya Kya Haseen Sitam
- Zara Sii Aahat Hotii Hai
- Yeh Nayan Darey Darey
- Merey Chanda, Mere Nanhe
- Kuchh Dil Ne Kaha
- Dheerey-dheerey Machal Ai Dil-e Be-qaraar
- Abhi Kya Sunogey Suna To Hasogey
- Maa Hai Mohabbat ka Naam
- Aaj Socha To Aansu Bhar Aaye
- Betaab Dil Ki Tamanna Yehi Hai
- Hai Tere Saath Meri Wafa
- Har Taraf Ab Yahii Afsaney Hain
- Koi Yeh Kaise Bataye Ke Woh Tanha Kyun Hai
- Jhuki Jhuki Si Nazar . . .
- Tum Itna Jo Muskura Rahey Ho . . .
- Select Bibliography
- THE BEGINNING
Dahakta phuul bhi hai tu mahakta shola bhi
Zara zamin ko mehvar pe ghuum leney de
Yeh duniya tujh se tira soz-o-saaz maangegi
Jamaal sikhega ḳhud-eitimadiyan tujh se
Hayaat-e-nau tire dil ka gudaaz maangegi
Sarojini Naidu
Dear mother, my cheerful, brave mother
You lit up all the jewels of nature
You loved your garden, its flowers and its thorns
You gave away vast treasures of love
Some of your activities were erased
But no picture could ever be complete without you
Your constant struggle illuminates the same dream
That had jolted the Rani of Jhansi awake
The wrinkles on your forehead and the tika
Augment the make-up and artistry of life
The fervour of belief in your gaze, the passion for freedom in your heart
You are both blazing flower and fragrant ember
Let the earth rotate on its axis
The world will ask for your fire and music
Beauty will learn self-confidence from you
New life will seek kindness from your heart
Behroopni
Ek gardan pe saikdon chehrey
Aur har chehrey par hazaaron daaġh
Aur har daaġh band darvaza
Raushni inn se aa nahin sakti
Raushni inn se ja nahin sakti
Tang siina hai hauz masjid ka
Dil woh dauna pujariyon ke baad
Chat-tey rahte hain jise kutte
Kutte dauna jo chaat lete hain
Devtaon ko kaat lete hain
Jaane kis kokh ne jana iss ko
Jaane kis sehn men javan hui
Jaane kis des se chali kam-baḳht
Vaise ye har zaban bolti hai
Zaḳhm khidki ki tarah kholti hai
Aur kahti hai jhank kar dil mein
Tera mazhab, tira aziim ḳhuda
Teri tahzib ke hasin sanam
Sab ko ḳhatre ne aaj ghera hai
Baad un ke jahan andhera hai
Sard ho jaata hai lahu mera
Band ho jaati hain khuli ankhein
Aisa lagta hai jaise duniya mein
Sabhi dushman hain koi dost nahin
Mujh ko zinda nigal rahi hai zamin
Aisa lagta hai raakshas koi
Ek gaagar kamar men latka kar
Aasman par chadhega aḳhir-e-shab
Nuur saara nichod laega
Mere taare bhi tod laega
Yeh jo dharti ka phat gaya siina
Aur bahar nikal padey hain julus
Mujh se kahte hain tum hamare ho
Main agar inn ka huun to main kya huun
Main kisi ka nahin huun apna huun
Mujh ko tanhai ne diya hai janam
Mera sab kuchh akele-pan se hai
Kaun puchhega mujh ko mele mein
Saath jis din qadam badhaunga
Chaal main apni bhuul jaunga
Yeh aur aise hi chand aur saval
Dhundne par bhi aaj tak mujh ko
Jin ke ma baap ka mila na suraġh
Zehn mein yeh undeil deti hai
Mujh ko mutthi mein bhench leti hai
Chahta huun ki qatl kar duun ise
Vaar lekin jab is pe karta huun
Mere siine pe zaḳhm ubharte hain
Mere maathe se ḳhuun tapakta hai
Jaane kya mera iss ka rishta hai
Andhiyon mein azaan di maine
Sankh phunka andheri raaton men
Ghar ke bahar saliib latkai
Ek ek dar se uss ko thukraya